Sunday, December 17, 2006

A new poem

The Cry Within

Yeh duniya agar saath ho bhi le tau kya hai
mein kudh ke agar saath ho loon tau kuch baat hai

Teri dillagi mein, hud se bhi guzar jaaon tau kya hai
Yeh hud hi mit jaaye tau kuch baat hai

Meri ibadat kubool bhi ho jaaye tau kya hai
jo mein kudh hi ibadat ban jaaon tau kuch baat hai

khawaab aisho-aaraam ki duniya ke,
mukammal ho bhi jaaye tau kya hai
yeh antas ki awaaz, yesh pyaas
pata chal bujh jaaye tau kuch baat hai.

No comments: